Ae kash kabhi woh waqt aeye
Mein daur kahin kho jaoon
Mein daur kahin kho jaoon
Woh dhoonday mujh ko nagar nagar
Mein phir nah kabhi usay mil paon
Mein phir nah kabhi usay mil paon
Woh dhoonday mujh ko pani mein
Mein barish ban kar beh jaoon
Mein barish ban kar beh jaoon
Woh beech samandar dhoonday phir
Mein lehron mein hi kho jaoon
Mein lehron mein hi kho jaoon
Woh dhoonday daur pahoron mein
Mein pathar ka buut ban jaoon
Mein pathar ka buut ban jaoon
Ae kash kabhi woh waqt aeye
Mein daur kahin hon kho jaoon
Mein daur kahin hon kho jaoon
Woh dhoonday kohistanon mein
Mein barf ki terhan jim jaoon
Mein barf ki terhan jim jaoon
Woh dhoonday nangay paon mujhe
Pas daur kahin viranoon mein
Pas daur kahin viranoon mein
Mein uskay paon ki dhool banon
Par nah mil sakun mastanay ko
Par nah mil sakun mastanay ko
Woh thak ke khaali aankhon se
Yun dekhe jab asmano ko
Yun dekhe jab asmano ko
Mein daur kahin un taron mein
Pas is ko dekh ke maskaon
Pas is ko dekh ke maskaon
Meri chahat pay jo hanstaa tha
Pas betha ho ga begana yun
Pas betha ho ga begana yun
Ae kash kabhi woh waqt aeye
Mein daur kahin kho jaoon
Mein daur kahin kho jaoon
0 Comments