Relationships aren’t easy, but far too many couples throw in the towel on their relationship, only to repeat the same dysfunctional patterns of behavior in their next relationships. The truth is, most couples are capable of thriving and lasting long term if they’re both committed to achieve this. No matter whether you’re in a 50-day or a 50-year relationship, here we have some brilliant quotes about friendship and relationship. Friendship quotes in Urdu.
Yahan wajah se nahi balkay wajah bana kar chorra jata hai.
Insaan ko bas aik hi baar azmao, phir jo bhi is ka rang ho ga woh nazar aa jaye ga aur wohi is ka asal rang hota hai. Iss ke baad, is pay mazeed bharosa kar ke aap khud apne aap ko dhoka day rahay hain, ab woh aap ko dhoka nahi day raha.
Ghair zurori tanqeed woh talwar jo sab se pehlay khobsorat taluqaat ka sir qalam karti hai.
Rishton ke mazboot rakhnay ke do raaz jab aap ghalat hon to apni ghalti tasleem karen aur jab aap sahih hon to khamoshi ikhtiyar karen.
Namak ki terhan karvi baat karne wala hi sacha dost hota hai. meethi baat karne wala hamesha chaplos hota hai. kyunkay tareekh gawah hai ke namak mein kabhi keera nahi lagta aur meethi cheezon mein hamesha keera lag hi jata hai. Friendship quotes in Urdu.
Insaan Mirta hai to mar jaye lekin kabhi unn saharon pay bharosa nah kere jo kayi baar uss ki bunyadon ko hila chuke hon.
Rishte aur sheeshay dono hi insani ghaflat se toot-te hain hamein yeh yaad rakhna chahiye ke sheeshay ka mutabadil mil jata hai magar
rishte ke mutabadil rishte nahi mlitay.
rishte ke mutabadil rishte nahi mlitay.
Khoubsurti se dhoka nah khana ae ibn-e aadam …!
Talwar kitni bhi khobsorat kyun nah ho maangti to khoon hai.
Saali aur bhabhee se mazaaq ko jaahil log apna haq samajte hain jabkay yeh sakht haraam hai aur jahannum mein le jaany wla amal hai. balkay dever, jaith, behnoi aur woh ghair Mehram rishta daar jin ka gharon mein aana jana ho un se aurton ko bohat ziyada parda ka hukum hai.
Aadmi teen hi achay.
Aik woh jo mar gaya hai. Dosra woh jo abhi peda hi nahi hoa. Aur teesra woh jis se koi talluq hi nahi.
Munafqat ke rishton se sar e aam nafrat behtar hai.
0 Comments