Latest

6/recent/ticker-posts

Advertisement

Responsive Advertisement

17 Famous Urdu Quotes In Urdu


More than two thousand plus Urdu quotes to get knowledge and wisdom. Be wise, share wisdom with others. Now engjoy Best quotes in Urdu and Urdu sayings.


Gurbat khairaat se nahi insaaf se khatam hoti hai.



Hamaray hukmraanon nay itni doulat gharon mein jama kar li hai ke izzat ke liye ghar mein jagah hi nahi bachi. 



Ghareeb ka bacha rootti chura ke chor ho gaya aur log malik kha gay qanoon likhate likhate.


2 jumlon nay musalmanoon ko tabah kar diya hai .
Islam aman kadrs deta hai, iss jumlay ki wajah se musalmanoon ke das malik tabah ho gay. Halaank islam aman ke mahol mein aman ka dars deta hai jabkay dushman bhi aman chahta ho. Agar dushman aman nah chahta ho to islam difaa, ghairat aur jehaad ka dars deta hai.

Aur parda dil ka hota hai.

Iss jumlay ki wajah se aadhi se ziyada insaaniyat nangi ho gayi hai kyunkay nazar ko ghalat cheez dekhnay se nah bachaaya jaye to bhi kharab aur ganda ho jata hai aur aadmi be haya ban jata hai. 


Beet Al Muqaddas ki diivaaren pouchti hain kya koi Salah Aldeen ayobi araha hai? jawab aata hai ke ab to islam sirf aman ka dars deta hai….!



Roz soch kar baraste hain mere lahoo o ansoo ae mere napak hukmraanon ke aaj ik aur shaam bhi guzar gayi hai rootti kapra aur makaan ke liye.



Jamhoriat tab hoti hai jab malkiat rakhnay walay muflis o qalash hukoomat karne walay hon.



Agar aap munafiqon ko daykhna chahtay hain to hakoomati logon ki mjlson mein bethnay walon ko dekh len ke kis terhan Allah ki marzi par umraa ki marzi ko tarjeeh dete hain.



Woh jis ka aik hi beta ho aur bhooka ho aath pahron se
baatoon ahal Danish tum, woh gandum le ya takhti le.




Aik hazaar qabil ensaan mar janay sae itna nuqsaan nahi hota jitna ke aik ahmaq ke sahib ikhtiyar ho janay se hota hai.



Aysi khahishat jin k liye insaniyat sy girna pry sirf dukh ka hi bais bnti hain zindagi ki dor to seedhi hi hai insaan hi isy uljha deta hai.



Cheen kr khany walon ka pait kbhi ni bherta aur baant kr khany waly kbhi bhooky nhi rehty.



Wo admi jo apny halaat per razi nhi wo gareeb hai, aur jis admi ki khahish us k hasil sy ziyada hai wo bhi gareeb hai, aur jis admi ko muzeed ki zroorat hai wo bhi gareeb hai.



Aflaas ki basti mein zra ja kr to dekho wahan bachy to hoty hain magar bachpan nhi hota.



Muflis k badan ko bhi hai chader ki zroorat ab khul k mazaron py elaan kia jaye.



Insaan ko hukm tha k apny nafs ko mary magar insaan ny apny zameer ko hi maar dala.



Insaan bhi kia kamal krty hain dramon mein adakaron k dukh dard dekh kr ro perty hain aur asal mein logon k dukh dard ko drama smjhty hain.



Post a Comment

0 Comments